Saturday 3 August 2013

Us waqt tumhara kiya haal hoga jab tumhare nou-jawan

Huzoor-e-Akram (S.A.W) ne irshad farmaya:
"Us waqt tumhara kiya haal hoga jab
tumhare nou-jawan badkar ho jaen ge aur
tumhari larkiyan aur auraten tamam hadood phlang jaen gi?
Sahaba ne arz kiya, Ya Rasool Allah (S.A.W) kiya aisa bhi ho ga?
Aap (S.A.W) ne jawab diya "Han"
aur us se barh kar us waqt tumhara kiya haal hoga jab,
Na tum bhalai ka hukam karo ge aur na burai se mana karo ge?
Sahaba ne arz kiya, Ya Rasool Allah (S.A.W) kiya aisa bhi hoga?
Aap (S.A.W) ne jawab diya "Han"
aur is se bhi bad tar us waqt tum per kiya guzre gi jab,
Jab tum burai ko bhalai aur bhalai ko burai samjhne lago ge?

Post a Comment

Popular Posts

check sims online

About

Credits